Tuesday 13 October 2015

YAADEIN...

Na jane aaj kaise tumlogo ki yaad si aa gayi,
Gumsum yun hi baithe the dil me ek khushi si cha gayi,
Dilli ki garmi me tarap rahe seene ko,
Yaadon ki barish ek thandak sa pahuncha gayi;


Magn chal rahe the apni raahon par,
Ek mod pe saath hum mil gaye,
Kaaton bhari rahon pe aisa laga,
Maano phool kahin se hon khil gaye;

Ghar se nikle the hum manzil ki talaash me,
Soche kuch seekhne milega zindagi ki class me,
Par doston ne zindagi ke maayne aise badle,
Ki saari kadwaahat ghul gayi rishton ki mithaas me;

Dil khol ke yun galtiyan batana,
Besharam hoke fir lunch churana,
Janmo ke punya se naseeb hota hai,
Zindagi me aise doston ka aana;

Naach gaa kar humne manayi khushiyan,
Aaansu poch kar baante sabke gham,
Khud ki manzil paane aaye the yahaan,
Aur khud ko hi kho aaye hain hum;

Haqeekat thi ya koi sapna tha woh,
Har pal paas hamare jab koi apna sa ho,
Waqt ke dhaage me tumhari yaadon ke moti,
Maano saans lene ka mujhe ek wajah sa mil gaya ho!